नारी Naari Lyrics – Rhyme ( Hustle 2.0 )

“Naari Lyrics In Hindi/English” From The Album – Hustle 2.0 (2022) Sung By Rhyme. This Song Is Written By Rhyme And Music Is Composed By Rhyme.


Naari Song Details

📌 Song TitleNaari
🎞️ Album/MovieMtv Hustle 2.0
🎤 SingerRhyme
✍️ LyricsRhyme
🎼 MusicRhyme
🏷️ Music LabelKaanphod Music

Naari Lyrics

Le Zindagi Janam Jis Mein Woh Naari
Pyaari Maa Kabhi Behen Biwi Ki Zimmedaari
Leti Jaa Rahi Saalon Se Woh Socho
Kya Ho Agar Woh Na Rahi

Woh Naari Jo Na Rahi Kuch Aisa Hoga Asar
Sar Se Saaya Chhoota Rootha Rab
Jaise Ghar Na Lage Ghar
Har Woh Soorat Jisko Pyaar Ki Zaroorat
Ab Toh Moorat Ke Sahare
Yeh Soch Kar Hee Lagta Darr

Joojhti Haalaton Se Andar Bahar Ki Baaton Se
Sawaalaton Ne Ghera Kyun Yeh Pehna
Kyun Jaana Raaton Mein
Bhed Bhaav Se Mila Ghaav Diya Dabaav
Aansu Bhi Aankhon Mein Andekha Karke
Dekha Ladki Hai Yeh Taana Fenka

Kyun Aisa Kyun Aisa Toh Kya Farak
Jeete-jeete Jeene Na De Jhele Woh Narak
Haq Maare Jaise Cheeti Soche Na Uss Pe Kya Beeti
Bojh Hai Sankoch Hai Paraaya Dhan Hai Par Na Beti

Bhak
Yeh Soch Apne Tak Rakh
Saale Phaile Hain Aabadi Mein
Kitno Ko Doon Sabak
Rakh Doon Mai Seedha Kaan Pe
Paigham Yeh Aavam Ke Har Hindu-musalman
Maare Jo Kokh Mein Jaan Se

Nanhi Jaan Ko Ladke Ko Ghar Ki Shaan Samajh Ke
Aayi Iss Duniya Mein Haivaano Ko Insaan Samajh Ke
Woh Lauti Wapis Behkar Khoon Ki Nadiyon Mein
Ghoomti Wajah Woh Dhoondti Maujood Jo Sadiyon Se

Yeh Ladki Hai Toh Kyun Na Daayre Mein Rahe ?
Itna Sajna Dhajna Kyun? Saamne Kam Aaine Ke Rahe
Ladki Hai Yeh Jyada Der Tak Kyun Hai Bahar ?
Kyun Ladke Iske Yaar, Kyun Nahi Pehni Salvaar ?

Yeh Ladki Hai Isey Rasoi Mein Laga Do
Padhne Likhne Ki Zaroorat Kya Kitaabein Jala Do
Thopo Apni Marzi Iski Khushi Dafna Do
Yeh Ladki Hai Umar Ki Hai Chalo Shaadi Kara Do

Sehti Par Na Kehti Par Toote Bani Ghar Mein Kaidi
Rehti Hai Sapno Ki Raakh Pe Aatma Behti Aankh Se
Woh Chahti Sirf Pyaar Hoti Maar Ki Shikaar
Usne Chhoda Parivaar Paraaya Naam Sweekar Kiya

Dhaar Se Dahej Ke Darindon Ne Vaar Kiya
Woh Galti Karti Ek, Baaton Se Sabne Chaar Kiya
Jo Haal Kiya Gandi Nazron Ne Ghoore Yeh Kataar Mein
Woh Dhakk Le Khud Ko Poora Kapde Nazron Se Utaar Te

Havas Hoti Haavi Haivaaniyat Aazad Phir
Jahannum Ka Bhes Leke Tez Aati Raat
Chali Ghar Apne Kaam Se
Peeche Log Anjaan Se

Woh Vaaqif Na Anjaam Se
Ghar Lauti Na Woh Shaam Se

Bani Shikaar Agle Din Samachaar
Ek Ladki Ka Behrehmi Se Hua Balatkaar
Ab Sweekaar Kare Sach Kaise Uska Parivaar
Banke Laash Hai Woh Jinda Jhela Aabroo Pe Vaar

Woh Haadse Se Bachti Agar Zyada Na Sajti
Kadam Ghar Ke Daayre Ke Bahar Na Rakhti
Taali Kabhi Ek Hath Se Toh Nahi Bajti
Tu Ladki Hai Na Toh Thoda Samajhti

Aaj Wahi Ladki Khud Ki Roti Kama Rahi
Kandhon Pe Ghar Ka Bojh Apno Ka Haath Bata Rahi
Yeh Ladki Hai Yeh Soch Samaaj Ko Hai Kha Rahi
Yeh Desh Aur Yeh Dharti Bhi Aakhir Hai Ek Na.

Hustle 2 Best Rap

Naari Lyrics

We Hope This Article From Hustle 2.0 Album “Naari Lyrics In Hindi/English” +Video Must Have Been Well-liked. What Do You Think About The Song Of Naari Song”, You Must Tell Us By Commenting.

Visit AllHindiLyric.com For All Types Of Songs And Bhajans Lyrics + Videos.

Leave a Comment